Friday 15 March 2013

Fedora Linux mein LibreOffice kaise install karein?

Simon Olivier ka comment parh ke taish mein aa geya aur ye chhota sa text likha Roman Hindustani, ya Roman Urdu, ya Roman Hindi mein.

Got excited after reading Olivier's comment. So wrote a short text in Roman Hindustani here. This is about how to install LibreOffice in Fedora Linux?

Ekscitiĝis post legi komenton de Olivier. Tial skribis mallongan tekston en Roman Hindustani. Tiu ĉi teksto temas pri kiel instali LibreOffice-on en Linukson Fedora.

========================================================

Fedora Linux operating systems (OS) ki qataar mein sabase zeada jaane-pehechaane OS-es mein se ek hai. DistroWatch mein aksar top five most popular distros mein shumar hota hai. 

Mere kheyaal se Ubuntu aur Linux Mint ke baad, desktops par ye dunia ka sabse zeada istemaal hone vaala OS hai. Lekin Ubuntu aur Mint ki tarah, Fedora ko working condition mein laana thora sa difficult hota hai. Is ki ek vajah ye hai ik Fedora LibreOffice ke saath nahi aata. Aap ko ise alag se install karna hota hai. 

Main abhi Fedora 18 (Xfce, 64-bit) use kar rahaan hoon. Is mein halta fulka (less than 2 MB) sa AbiWord shamil hai. Lekin mujhe thora powerful word processor chaahiye, jo ki LibreOffice hai.

Ab sawaal uth-ta hai ki LibreOffice ko install kaise kiya jaaye? 

Is ke kayi tareeqe hain. Ek asaan sa tareeqa ye hai ke aap LibreOffice ki official website pe jaayiye aur ise download kar lijiye. Ab ye kaam karega ya nahi, ye main nahi jaanta. Maine to terminal ke zariye ise install kiya tha. 

Terminal ke zariye LibreOffice install karna thora mushkil to hai, lekin ye aapko qaafi aazadi deta hai. Jaise ki aapko poora suite install karne ki zaroorat nahi. Meri tarah aap sirf LibreOffice Writer aur LibreOffice Math install kar sakte hain. Ye dono 100 MB ke qareeb hain.

Chaliye, ab aap ka vaqt na zaaya karte huye, aap ko terminal se LibreOffice install karne ki tarqeeb bataate hain.

Step one

(1) Terminal open kijiye.

Step two

(2) Ye command dijiye: 

su

Terminal aap se aapka root password maangega. Root password fill kijiye. 

Teesra step

(3) Ab ye sure karne ke liye ke aap sahi raaste par jaa rahe hain, ye command dijiye:

yum search libreoffice

Depending on your internet speed, kuchh seconds se kuchh minutes lagenge before you see a list of programs with LibreOffice in their name

Fourth step

(4) Ab ye command dijiye:

yum isntall libreoffice (agar aap poore ka poora suite install karna chaahte hain)

ya fir

yum install libreoffice-writer libreoffice-math (agar aap ko sirf writer aur math hi chaahiye)

Paanchvaan qadm

(5) Kuchh minutes ke baad, again depending on your internet speed, terminal aap se install confirm karne ko kahega. 

App ko ye command deni hai

y

Step six

(6) Intezaar kijiye aur kuchh hi minuton (minutes) mein aap LibreOffice istemaal kar paayenge.

1 comment:

  1. So, I excite you ? :-)
    I like to recognize words common to Hindustani and Sambahsa
    "baad" = "bad" (at least) in Sambahsa.I suppose it means "after" in Hidustani
    "dunia" = "Dunya" (the World)
    "karna" = "kwehr" (to do)
    "lekin" = "lakin" = "however, but"
    "aazadi" = "asad" = "free, frank"
    "sawaal" = "suwal" = "question"
    "zariye" = "zariya" = "way, means"
    "muschkil" = "muschkil" ("painful" in Sambahsa, but I suppose it is "difficult" in hindustani)
    "qaafi" = "kafi" = "enough"
    "qareeb" = "kariban" = next ("-ly" in Sambahsa)
    "vaqt" = "wakt" = "time"
    "teesra" = "trit" (third; why did you switch here to Hindustani)
    "agar" = "agar" = "if/in case when"
    "intezaar" = "intizar" = "to wait (hopefully)"

    ReplyDelete