Saturday 31 August 2013

taksīm = division

A story of Sadaat Hassan MANTO in Roman Urdu / Roman Hindi with definitions of difficult words.

taksīm

ek ādmī ne apne liye lakṛī kā ek baṛā sandūk muntakhab kiyā jab use uṭhāne lagā to vo apnī jagāh se ek iṃc bhī nā hilā

ek śakhs ne jise śāyed apne matlab ki koyī cīz mil hī nahī rahī thī, sandūk uṭhāne kī kośiś karne vāle se kahā, "maiṃ tumhārī madad karūṃ?"

sandūk uṭhāne ki kośiś karne vālā imdād lene par rāzī ho geyā. us śakhs ne jise apne matlab kī koyī cīz mil nahī rahī thī apne mazbūt hāthoṃ se sandūk ko jinbaś dī aur uṭhā kar apnī pīṭh par dhar liyā.

dūsre ne sahārā diyā, dono bāhar nikle.

sandūk bahut bojhal thā. us ke nīce uṭhāne vāle ki pīṭh ciṃkh rahī thī, ṭāṃge doharī hotī jā rahī thīṃ. lekin inām kī tokā ne us jismānī maśakat ka esesās nīm mardā kar diyā thā.

sandūk uṭhāne vāle ke mukāble meṃ sandūk muntakhab karne vāla bahut kamzor thā. sārā rasta vo ek hāth se sahārā de kar apnā hakk kāyam rakhtā rahā. jab dono mehfūz mukām par pahuṃc gaye to sandūk ko ek taraf rakh kar sārī maśakat bardāśt karne vāle ne kahā. bolo is sandūk ke māl meṃ se mujhe kitnā milegā.

sandūk par pehelī nazr ḍālne vāle ne javāb diya, ek cothāyī.
bahut kam hai.

kam bilkul nahī, zeādā hai. isliye ki sab se pehele maine hī is par hāth ḍālā thā.
ṭhīk hai, lekin yahāṃ tak is kamar toṛ bojh ko uṭhāne ke liye kon hai?

ādhe ādhe par rāzī ho?

ṭhīk hai. kholo sandūk.

sandūk kholā geyā to us meṃ se ek ādmī bāhar niklā, hāth meṃ talvār thī. bāhar nikalte hi us ne dono hisedāroṃ ko cār hisoṃ meṃ taksīm kar diyā.

muśkil alfāz ke matlab

muntakhab karnā = cun nā
imdād = madad
jinbaś karnā = hilānā
tokā = umīd
nīm mardā karnā = kam karnā

3 comments:

  1. Does "sandûk" mean "coffer" ? Sambahsa has "sunduk".

    ReplyDelete
    Replies
    1. Yes, "sandūk" means "coffer." I believe it is Arabic in origin. It's interesting that Sambahsa has a similar word.

      Delete
    2. Yes, it's Arabic in origin, but ultimately from Greek "sunthêkê", literally : "the place where to put together". This word has spread on a big part of Asia and Africa. This shows how clumsy it is to build an auxlang based only on West European languages.

      Delete